Friday 27 February 2015

MURDER 2 All Songs Lyrics

Hey kaash, kaash yun hota
Har shaam saath tu hota
Chup-chaap dil na yun rota
Har shaam saath tu hota

Guzara ho tere bin guzara ab mushqil hai lagta
Nazara ho tera hi nazara ab har din hai lagta

Hale dil tujhko sunata
Dil agar yeh bol pata
Bakhuda tujhko hai chahta jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang laata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo ..

Tu meri raah ka sitaara
Tere bina hoon main awaara
Jab bhi tanhaai ne sataaya
Tujhko besaakhta pukaara

Chaahat hai meri la fanaa
Par meri jaan dil, main hoon rakhta haan

Haal e dil tujhko sunata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai chahta jaan

Tere sang jo pal bitaata
Waqt se main woh maang lata
Yaad karke muskuraata haan
Woo....

You're the one
I love whats meant to be
I know you feel it too
Each time I look at you

Khwaabon ka kab tak loon sahara
Ab toh tu aaja khudara
Meri yeh dono paagal aankhein
Har pal maange tera nazaara
Aa samjhaaun inko kis tarah
Inpe mera bas nahin chalta haan

Haal e dil tujhko sunata
Dil agar yeh bol paata
Bakhuda tujhko hai jata jaan

Tere sang jo pal bitata
Waqt se main woh maang lata
Yaad karke muskuraata haan
Woo oo...  

2. Aa Zara Song Lyrics


Song Title: Aa Zara
Song Writer: Kumaar
Singer: Sunidhi Chauhan 
Movie Album: Murder 2 
Music Composer: Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur 
Music Label: T-Series
Star Cast: Emraan Hashmi, Jacqueline Fernandez, Prashant Narayanan, Sudhanshu Pandey, Sandeep Sikand 
Release Date: July 8, 2011 
Yeh raat ruk jaye, baat tham jaye, teri baahon mein
Khwaishein jagi hain pyase pyase labhon pe
Khud ko jala doon, teri aanhon mein
Aagosh mein aaj mere samaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa ja zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Jee le.....

Yeh jahaan saara bhool kar
Jismo ke saaye tale dheeme dheeme chale raat bhar
Pal do pal hum hai humsafar
Thay abhi dono yahaan honge subah jaane kahan kya khabar
Aa ja zara khud ko mujh mein milaa ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa ja zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, jee le

Khwaab hoon main toh makhmali
Palkon mein leja mujhe maine diya mauka tujhe ajnabi
Hosh mein aaye na abhi
Ik dooje mein hi kahin khoyi rahe teri meri zindagi
Khamoshiyan dhadkano ki suna ja
Jaane kya hona hai kal

Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, aa ja
Jo pal mile naseeb se... Jee le..!

Raat ruk jaaye, teri baahon mein
Aagosh mein aaj mere sama ja
Jaane kya hona hai kal
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se
Aa zara kareeb se, jo pal mile naseeb se, jee le

3.AYE KHUDA SONG LYRICS

Song: Aye Khuda
Movie Album: Murder 2
Singers: Mithoon, Kshitij Tarey, Saim 
Song Writer: Mithoon
Music Composer: Mithoon
Music Label: T-Series
Star Cast: Emraan Hashmi, Jacqueline Fernandez, Prashant Narayanan, Sudhanshu Pandey, Sandeep Sikand 
Release Date: July 8, 2011
Kaisi khala ye dil mein basi hai
Ab toh khatayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira

Aye Khuda gir gaya gir gaya
Main jo tujh se door huaa
Lut gaya, Lut gaya..
Aye Khuda... aa...
Gir gaya, gir gaya
Main jo tujh se door hua
Lut gaya, lut gaya..

Kaisi khala ye dil mein basi hai
Ab toh khatayein fitrat hi si hai
Main hi hoon woh jo rehmat se gira
Aye Khuda aa.. gir gaya gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya lut gaya...
Aye Khuda...aa...
Aye Khuda...aa...

Itni khatayein tu lekar chala hai
Daulat hi jaise tera ab Khuda
Har pal bitaaye tu jaise hawa hai
Gunaah ke saaye mein chalta raha

Samandar sa behkar tu chalta hi gaya
Teri marzi poori ki, tune haan har dafaa
Tu hi tera mujrim bandeya

Aye Khuda gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lut gaya, Lut gaya..

Kyun judtaa iss jahaan se tu
Ik din ye guzar hi jayega
Kitna bhi samet le yahaan
Mutthi se phisal hi jayega
Har shaqs hai dhool se bana
Aur phir usme hi jaa mila
Yeh haqiqat hai tu jaan le
Kyun sach se muh hai pherta

Chahe jo bhi hasrat poori kar le
Rukegi na fitrat yeh samajh le
Mit jayegi teri hasti
Bar na payega yeh dil bandayaa

Aye Khuda gir gaya Gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya Lut gaya..

Gar tu soche tu hai gira
Mere haath ko thaam, Uth zara!
Tere dil ke dar pe hoon khada
Mujhko apna le tu zara

Tu kahe tu hai saaye se ghira
Teri raahon ka main noor hoon
Tere gunaha ko khud pe le liya
Meri nazron mein bekasoor tu

Aisa koi manzar tu dikh la de
Mujhe koi shaqs se milvaa de
Aisa koi dil se tu sunwa de
Ki zakham koi usey na mila
Aye Khuda.. gir gaya gir gaya
Main jo tujhse door huaa
Lut gaya, Lut gaya..
Aaa.. Aa....

4.PHIR MOHABBAT SONG LYRICS

Song Title: Phir Mohabbat
Song Writer: Sayeed Quadri
Singer: Mohammad Irfan, Arijit, Saim 
Movie Album: Murder 2 
Music Composer: Mithoon 
Music Label: T-Series
Star Cast: Emraan Hashmi, Jacqueline Fernandez, Prashant Narayanan, Sudhanshu Pandey, Sandeep Sikand 
Release Date: July 8, 2011
Jab jab tere paas main aaya, Ik sukoon mila
Jise main tha bhoolta aaya, Wo wajood mila
Jab aaye mausam gham ke, Tujhe yaad kiya
Ho...

Jab sehme tanhapan se, Tujhe yaad kiya
Hmm..dil... Sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk jaa zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Aisa kyun kar hua janu naa
Main janu naa o..o..
Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Jis raah pe, hai ghar tera
Aksar wahan se, haan main hoon guzra
Shayad yahin dil mein raha
Tu mujh ko mil jaye, Kya pata...

Kya hai yeh silsala
Janu naa, Main janu naa
Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

Kuch bhi nahi Jab darmayaan
Phir kyun hai dil, tere hi khwaab bunta
Chaha ki de, tujhko bhula
Par yeh bhi mumkin ho na sakaa...
Kya hai yeh maamla, Janu naa
Main janu naa

Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil yahin ruk ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu
Dil sambhal ja zara
Phir mohabbat karne chala hai tu

5.TUJHKO BHULANA SONG


Song Title: Tujhko Bhulana
Song Writer: Sayeed Qadri
Singer: Sangeet Haldipur, Roshni Baptist 
Movie Album: Murder 2 
Music Composer: Sangeet Haldipur, Siddharth Haldipur 
Music Label: T-Series
Star Cast: Emraan Hashmi, Jacqueline Fernandez, Prashant Narayanan, Sudhanshu Pandey, Sandeep Sikand 
Release Date: July 8, 2011
Tujhko bhulana, Aasu na laana
Ab aa gaya...
[go away, stay away, this is our realty...]

Tujhko bhulaana, Aasu na laana, Aur muskuraana
Ab aa gaya, ab aa gaya

Yaadon se teri, daaman chhudana
Dil na dukhana, ab aa gaya, ab aa gaya
Ha...ha...

Sunn bewafa yeh, tay kar liya
Reh lenge hum tere bin

Hey ab dard bhi kya hai, humko bhala
Raat aa gayi hai, tere mere darmiyaan ka jo hai faasla
Yaadon se teri, daaman chhudana
Dil na dukhana, ab aa gaya

wooh..ho....
Dil ke makaan se tu jaa chuka
Iss mein nahin tu ab raha..Ho..

Meri duaa mein, tu ab kahan
Tu ajnabi hai, tune inn mein rehne ka hai haqq kho diya

Tujhko bhulaana, Aasu na lana na lana, aur muskuraana
Ab aa gaya....

Hey yaadon se teri, daaman chhudaana Dil na dukhana
ab aa gaya, ab aa gaya, ab aa gaya

No comments:

Post a Comment