Tuesday, 12 May 2015

Chennai Express... Kashmir Main, Tu Kanyakumari

Kashmir main tu Kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh maari
Hey.. hey..


Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na 

Chipak chipak ke chalti hain kabhi kabhi do raahein
Jude jude kuchh aise ke laga ho jaise gum
Double double hoti thi jo kabhi kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kam
Ho tera-mera, mera-tera, tera-mera, mera-tera kissa atrangi
Kabhi kabhi chalti hai, kabhi kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main tu Kanyakumari
North-South ki kat gyi dekho doori hi saari 
Kashmir tu main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari.. hey.. hey..

Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na 
Tan na na na na na tana tan na na na na na 

Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na 
Tan na na na na na tana tan na na na na na..

Ek taraf to jhagda hai, sath phir bhi tagda hai
Do kadam chalte hain to lagta hai aath hain
Do tarah ke flavour, sau tarah ke tewar
Dar badar firtein hain ji, phir bhi apni thaath hai
Kabhi-kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi-kabhi kahin tootein, kahin jud jaayein
Hum sham-sahar ke, chaaron pahar ke
Mood mein dhal jaayein..

Kashmir main tu Kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh mari
Kashmir tu main Kanyakumari
Tel bechne jaaye to phir yeh duniya saari.. hey.. hey..

Main zara sa puncture to, tu hawa ke jaisi hai
Sath ho to pahiye taqdeeron ke tight hon
Bulb ban jaloon main aur tu switch ban jaaye
Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho

Kabhi kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi kabhi paidal, kabhi udd jaayein
Hamein dekh zamane walon ki chahe naak sikud jaayein..

Kashmir main tu Kanyakumari
Halke-fulke packet mein dekho mushkil bhaari
Kashmir tu main Kanyakumari
Hindi mein gustakhi hai to English mein sorry..

Chipak chipak ke chalti hain kabhi kabhi do raahein
Jude jude kuchh aise ke laga ho jaise gum
Double double hoti thi jo kabhi kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kam
Ho tera-mera, mera-tera, tera-mera, mera-tera kissa atrangi
Kabhi kabhi chalti hai, kabhi kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main [Kashmir main] tu Kanyakumari
North-South ki kat gyi dekho doori hi saari 
Kashmir tu [Kashmir tu] main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari..

Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na 
Na na na na na tana tan na na na na na

No comments:

Post a Comment