Wednesday, 4 March 2015

aaj fir jeene ki


Aaj Phir Jeene Ki Lyrics
1965
Film: Guide (1965)
Ho Kaaton se kheech ke yeh aanchal
Tod ke bandhan baandhe payal
Koi na roko dil ki udaan ko
Dil woh chala
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain
Apne hi bas mein nahin main
Dil hain kahi to hoon kahi main
Apne hi bas mein nahin main
Dil hain kahi to hoon kahi main
Ho, jaane kya paa ke meri zindagi ne
Has kar kaha, ha ha ha
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain
Mai hoon gubaar ya toofan hoon
Koyi bataye main kaha hoon
O, mai hoon gubaar ya toofan hoon
Koyi bataye main kaha hoon
O, d’arr hain safar mein kahi
Kho na jaaoo mai, rasta naya, ah
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain
Kal ke andheron se nikal ke
Dekha hain aankhe malate malate
O, kal ke andheron se nikal ke
Dekha hain aankhe malate malate
O, phool hi phool zindagi bahar hain
Tay kar liya, aa
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain
Aaj phir jeene ki tammana hain
Aaj phir marne ka irada hain

No comments:

Post a Comment