Sapna jahan dastak na de
Chokhat thi woh aankhein meri
Baaton se thi tadaad mein
Khamoshiyan zyada meri
Jabse pade tere kadam
Chalne lagi duniya meri
Mere dil mein jagah
Khuda ki khali thi
Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
Main bhatakta hua sa ek badal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai
Tu rooh hai toh main kaaya banu
Tha umar main tera saaya banu
Keh de toh ban jaun bairaag main
Keh de toh main teri maaya banu
Tu saaz hai main ragini
Tu raat hai main chandini
Mere dil mein jagah
Khuda ki khali thi
Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
Main bhatakta hua sa ek badal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai
Hum pe sitaaron ka ehsaan ho
Pura adhura har armaan ho
Ek dusre se jo baande humein
Baahon mein nanhi si ik jaan ho
Aabaad ho chota sa ghar
Lagna sakhe kissi ke nazar
Mere dil mein jagah
Khuda ki khali thi
Dekha wahan pe aaj tera chehra hai
Main bhatakta hua sa ek badal hoon
Jo tere aasmaan pe aake thehra hai
No comments:
Post a Comment